Sunday, 5 May 2013

JB DEKHA PICHY PALAT KR...........

Vah anokhi dastan thi,
Jo kabhi hum na kah pay.
Kutch kahi aur kutch ankahi thi,
Jo kabhi vo na samajh pay.
Ek aisa daur aaya,
Jb udvelit ho utha man,
Hr pal bas ek chaah thi ki,
Kyun moun mein rahi,
Vaqt aagy badh gaya,
Aur pichy rah gaya sb,
Jb dekha pichy palat kr,
Kush bahut thi mann ki pida,
Vah prabhu ki thi mahima,
Jo tha pichy rah gaya,
Jo ab hai, vo hai vardaan prabhu ka,
Jo sada Phula phala.
Shat - shat naman us prabhu ko kiya
Jo prabhu ny hamy diya.
Phuly phaly sabka angan sada,
Sab par rahy sada Prabhu ki kripa .

Friday, 3 May 2013

JINDAGI

Hansty roty cut jati hai jindagi
Har ek ko jina sikhati hai jindagi
Ye jindagi hi to hai jo katati hai hazaron baras
Gir- gir k uthna sikati hai jindagi
Yun to waqt ki aanch sy pathhar bhi pighal jaty hain
Par kutch kho kar pana sikhati hai jindagi
aye jindagi tery bady ehsaan hain mujh par
Har pal kutch naya sikhati hai jindagi.........
Mery ehsaas ki yeh jindagi jo sikhati hai sabko bandagi
thahar ja ek pal jo khushi hai vo bant lun sabmey
Har ek pal mein aksar badal jati hai jindagi
jo samjhogy isy badi pyari hai yeh jindagi.